Paani kam hai

Table pe rakhe glass ki kahavat toh sabne suni hogi,,,aadha khaali aadha bhara,,,
Yehi sikhaya jata raha hai ki aadha khaali nahi aadha bhara kahiye,,, fir kahin suna ki nahi ye kahiye ki bhara poora hi hai,,,aadha paani se aadha hawa se,,,kya karenge sahab aisa optimism rakh ke,,, glass khaali ho, bhara ho,,,aadha ho ya poora ho,,,Janaab pyaas toh bujhne wali nahi ek glass bhar paani se. Paani kam hai.
kabhi kabhi samajh nahi aata ye baatein soch kaise leta hoon. Duniya ek mela lagti hai jahan sabne apni Image ki dukaan sajai hai,,, maaniye na maaniye koi muskarahato ka business chala raha hai aur koi dukhi chehra dikha ke apne Image ki roti sek raha hai,,,Ab aise bazaar mein ye pata kaise lage ki saamne wala sach mein khush  hai udaas hai ,,,kaise pata lage ki iss baar vo nanha bhed bakri charaane wala jab “Sher aaya,sher aaya” chilla raha hai toh sach keh raha hai ya nahi.  Doosro ko toh chodiye ab toh khud pe bhi shak hone laga hai sahab,,,isiliye kabhi kabhi samajh nahi aata ki ye baatein soch kaise leta hoon.
Kya hai na,,,kaii log sochte bahut hain. Doosro ki parchaaiyo se leke khud ki tanhaaiyo tak,,,log kuch nahi chodte. Sab socha jaata hai sahab. Iss garmi mein sadak pe kaam karta majdoor parivaar dikhta hai,,,uska chota sa bachha vahin ret ke dher pe baitha hota hai,,,unke naseeb mein sofa ka sukh bahut dur ki baat lagti hai,,,Dil us pariwaar ke baare mein thoda sochta hai,,,shayad ab kam sochta hai,,,magar haan Ishwar ko dhanyawaad jurror nikalta hai ki Shukr hai main sahi jagah paida ho gaya. Aage badta hoon toh  park mein khelte hue bachho ko dekhne par sochta hoon ki kya din the apne bhi,,,yaad aata hai ki kaise ham bhi apne sapno mein Sachin Tendulkar se kam nahi the,,,leather ki ball se dar na lagta hota toh aaj Kohli ki jagah Arora hota…ek Hasi si chehre pe aane mein der nahi lagati ,,,shayad sirf uss ek pal ke liye ham bhi Sachin ho jaate hain.
Yahan tak toh thik hai sahab,,,saamne se langda kutta aata dekh ke bhi sochna nahi chod sakte. Tab ye soch lete hain ki mere kuch Animal lover dost iske baare mein kya sochenge.
khair,,,
Raaste chalte bhar Sochta hoon ki kaisa hota agar na sochne ka bhi option hota toh. Zinda laash banne ka shaunk nahi hai magar haan kabhi kabhi lagta hai ki off button hota toh alarm laga ke thodi der so jaate. Arey bhai, Dhoni se aur kuch seekha ho ya na ho ye pata laga hai zyaada sochne se baal jaldi safed ho jaate hain.
Zindagi jee toh lein, Roka thodi hai aapko kisi ne,,,bas haath mein ek naksha pakda diya jaata hai,,, usmein laal rang ki syaahi se ek rasta bhi Highlight kiya rehta hai,,,kaha jaata hai Jee lo apni zindagi magar isi raaste pe chalna. Toh ye nakshe ke baaki hisse ka kya karna hai.
Apni khud ki zindagi aap kaise jiye ye sochne ke siwa aap sab soch sakte hain,,,yahan tak ke ye bhi ki iss zindagi ke liye Paani kam hai.